Faiz Ahmad Faiz was born on 13 February
nisār maiñ tirī galiyoñ ke ai vatan ki jahāñ
chalī hai rasm ki koī na sar uThā ke chale
jo koī chāhne vaalā tavāf ko nikle
nazar churā ke chale jism o jaañ bachā ke chale
hai ahl-e-dil ke liye ab ye nazm-e-bast-o-kushād
ki sañg-o-ḳhisht muqayyad haiñ aur sag āzād
bahut hai zulm ke dast-e-bahāna-jū ke liye
jo chand ahl-e-junūñ tere nām-levā haiñ
bane haiñ ahl-e-havas mudda.ī bhī munsif bhī
kise vakīl kareñ kis se munsifī chāheñ
magar guzārne vāloñ ke din guzarte haiñ
tire firāq meñ yuuñ sub.h o shaam karte haiñ
bujhā jo rauzan-e-zindāñ to dil ye samjhā hai
ki terī maañg sitāroñ se bhar ga.ī hogī
chamak uThe haiñ salāsil to ham ne jaanā hai
ki ab sahar tire ruḳh par bikhar ga.ī hogī
ġharaz tasavvur-e-shām-o-sahar meñ jiite haiñ
giraft-e-sāya-e-dīvār-o-dar meñ jiite haiñ
yūñhī hamesha ulajhtī rahī hai zulm se ḳhalq
na un kī rasm na.ī hai na apnī riit na.ī
yūñhī hamesha khilā.e haiñ ham ne aag meñ phuul
na un kī haar na.ī hai na apnī jiit na.ī
isī sabab se falak kā gila nahīñ karte
tire firāq meñ ham dil burā nahīñ karte
gar aaj tujh se judā haiñ to kal baham hoñge
ye raat bhar kī judā.ī to koī baat nahīñ
gar aaj auj pe hai tāla-e-raqīb to kyā
ye chaar din kī ḳhudā.ī to koī baat nahīñ
jo tujh se ahd-e-vafā ustuvār rakhte haiñ
ilāj-e-gardish-e-lail-o-nahār rakhte haiñ
Maata-e-loh-o-qalam chin gayi to kya ghum hai
K khun-e-dil men dubo li hain ungliyan mene
Zuban pe muhar lagi hai to kya ke rakh di hai
Har ek halqa-e-zanjeer men zubaan mene
dil se paiham ḳhayāl kahtā hai
itnī shīrīñ hai zindagī is pal
zulm kā zahr gholne vaale
kāmrāñ ho sakeñge aaj na kal
jalva-gāh-e-visāl kī sham.eñ
vo bujhā bhī chuke agar to kyā
chāñd ko gul kareñ to ham jāneñ
Bala se hyam ne na dekha to or dekhen ge
frogh e gulshan o sot e hazar ka mosam
https://www.youtube.com/watch?v=EJ6JNMKfwFM